Ek baar sab kaam ek taraf karke padhna.
Nice poem on the last day of college
Raah dekhi thi is din ki kabse,
Aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se.
Bade utavle the yahaan se jaane ko,
Zindagi ka agla padaav paane ko.
Par naa jane kyon ..Dil mein aaj kuch aur aata hai,
Waqt ko rokne ka jee chahta hai.
Jin baton ko lekar rote the Aaj un par hansi aati hai ,
Na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai .
Kaha karte the ..Badi mushkil se char saal seh gaya,
Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya.
Na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi,
Yaadien jo ab jeene ka sahara ban gayi.
Meri taang ab kaun kheencha karega ,
Sirf mera sir khane kaun mera peecha karega.
Jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega,
Kaun raat bhar saath jag kar padega ,
KAUN MERI gaadi mujse pooche bina lejayega ,
Kaun mere naye naye naam banayega.
Mein ab bina matlab kis se ladoonga,
Bina topic ke kisse faalto baat karoonga ,
Kaun fail hone par dilasa dilayega,
Kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega .
Taphri mein Chai kis ke saath piyoonga ,
Wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga,
Aise dost kahaan milenge Jo khai mein bhi dhakka de aayein,
Par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein.
Mere gaano se pareshaan kaun hoga ,
Kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga ,
Kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai ,
Kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai .
Movies mein kiske saath dekhhonga,
Kis ke saath boring lectures jheloonga ,
Kere farzee certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega ,
Bina darey sacchi rai dene ki himmat kaun karega.
Achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna,
Na jaane ye fir kab hoga .
Doston ke liye professor se kab lad payenge ,
Kya hum ye fir kar payenge,
Raat ko 2 baje poha khane station kaun jayega ,
Tez gaadi chalane ki shart kaun lagayega ..
Kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega,
Aur jyada hawa mein udne par zameen pe layege ,
Meri khushi mein sach mein khush kaun hoga ,
Mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga...
KEH DO DOSTON YE DOBAARA KAB HOGA!
-via email
Showing posts with label College Life. Show all posts
Showing posts with label College Life. Show all posts
Saturday, June 19, 2010
Sunday, February 21, 2010
YAADEIN
Dedicated to all my friends and the special one who had been with me in all the visits to CEPT.
Woh parking main pyar bhari baatein,
Woh syllabus ka tension, woh exam ki raate...
Woh nescafe ki maggi, woh rabdi ki chai,
Woh canteen ka dosa, woh birthday ki pitai...
Woh CEPT ki bhel, woh ruturaj ka maska-bun,
Woh techfest, woh culfest, woh days ka fun...
Woh ruthna, woh manana, woh bunk, woh mulaqate,
Woh viva, woh project ki lambi lambi raate...
Woh lab, woh library, woh proxy lagana,
Woh movie, woh music, woh gana bajana...
Woh sms chat, woh low call rates wali baate,
Woh pyar, woh takrar, woh dil me chubhte kaante...
Na rahenge yeh din, na rahengi woh raate,
Bachegi kuch to bas yeh "YAADEIN"
Woh parking main pyar bhari baatein,
Woh syllabus ka tension, woh exam ki raate...
Woh nescafe ki maggi, woh rabdi ki chai,
Woh canteen ka dosa, woh birthday ki pitai...
Woh CEPT ki bhel, woh ruturaj ka maska-bun,
Woh techfest, woh culfest, woh days ka fun...
Woh ruthna, woh manana, woh bunk, woh mulaqate,
Woh viva, woh project ki lambi lambi raate...
Woh lab, woh library, woh proxy lagana,
Woh movie, woh music, woh gana bajana...
Woh sms chat, woh low call rates wali baate,
Woh pyar, woh takrar, woh dil me chubhte kaante...
Na rahenge yeh din, na rahengi woh raate,
Bachegi kuch to bas yeh "YAADEIN"
Subscribe to:
Posts (Atom)